[I]@amjad635 Bro ye baat to main bohat arsa pehle apko bata chuka hoon ke Atlas reh jayega sirf, or aap Engine Oils ki new packing dekhiye un pe sirf or sirf Atlas likha aa raha hai, or Spare parts ki new packing per bhi Atlas hi likha hua hai, Pridor ki changes Honda Japan ne pass nahi ki inho ne apni tarf se hi bana di, or Deluxe ka b yahi haal kiya inho ne, isi waja se hum sab Deluxe ko peet,tay rehtay hain ke isay set karna chaiye is ke rate ke hisab se isay accessories b lagani chiaye or design b behtar hona chaiye lekin ab sab kuch Atlas hi karta hai
@ raja20103 bro aap CG buy karlo or documents wahin showroom pe parrey rehnay do ( jinhei hum Open Letter kehtay hain ) Jan 2014 mein documents lay laina or bike ko register kara laina aap ki reg-book pe 2014 hi likha jayega or rahi baat sticker change hone ya CG Euro 2 ka naya model aane ki to wo bilkul bilkul nahi aanay wala, agay agay bohat si new items aa rahi hain jin mein Scooty no-1 hai filhal, isliye without any tension CG Euro2 lay lo
@RX115 yes bro limit kam karni chaiye, 120 to nahi 140 theek hai, becoz Deluxe ko modify kiya jaye to ye 120+ karta hai easily main ne personally 3-4 modify kar ke baichay hain, Sprocket set, Spark Plug or CDI Unit puranay CG wala ( small drum brake-edition till 2005 ) laga ke dekho, or Accelerator ki free play khatm kardo phir dekhna hawai jahaz na banay to kehna
[/I]