Amjad bhai, aap ko to bohat ziyada problems face karnee paree hein.
Agar AHL ke new bike mein iss tarha se problems aa rahe hein to baqi tamam companies ka kya haal hoga.
Jab DYL Dhoom launch huee to tab se ab tak uss bike mein bohat ziyada problems aa rahe hein jabke log ussey ek achi bike tasawar kartey hein.
Mere Pridor ne ab tak koi kam nahin nikala aur mechanics se to mein alergic hoon. Even chain tak to mein khud he tight kerta hoon. Lekin owner's manual per 15000km warranty period poora kerney k liyey thori se tuning kerwa ker AHL authorised dealer se stamp zaroor kerwa leita hoon.
Brother, mere Pridor ko sirf mein khud he drive kerta hoon aur mein zarrorat k saath saath iss ke ride ko enjoy kerney k liyey drive kerta hoon. Aur iss kee ek ek sound se mujhey iss kee tabiyat ka pata chalta rehta hai.
Behar haal aap jitna pay kertey hein utna he gain kertey hein.