Plz experts bhai guide karin. Khyber ka engine rebild karwaya hai. Full kaam hoa hai engine ka. Or head bhi saaf tha. Lakin gari over heating kar rahi hai. Khyrad waly say baat ki oc nay kaha kay macnic ko kahin kay head or tight kary. Kyon kay jhaag (foming) ban rahi hai thori thori. Or pani bhi yhora kam ho raha hai taqreban half liter in 50/60km or phir over heating ho rahi hai. Kahi bhi leaking nai hai. Plz guide kr dain. Bhot tension bani hoi hai. Itny pesy lga kar bhi
which city are you from?
Thori details btaen overhaul k baare mein? bore size kia rakha hai cylinder ka?
Aap ka fan auto hai ya direcet?
head bolt simple spanner se tight kye thhe aur proper sequence me ya phr torque wrench se kye thhe?
Thanks for reply bhia. Main rawalpindi kay pas hon. Or sleebs lagi hain bore mi.. Or standard kay piston daly hain japani waly. Or tp rings.. Or crinck 75 per tayar hoi hai. Or head or clinder ka face bilkilul ok hai. Oc ko treat nai kia gaya. Or head mi valve or seles nai dali hain. Fan to auto ec ley nai karyawa abi. Kyon kay main phaly heating ka masla confirm katna cha raha tha. Wo direct hi chal raha hai. Or koi torqure wrench nai tha macnic kay pas. Khyrad waly kay keny per macnic say head ko tight bhi karyawa hai lakin. Foam abi bhi ban raha hai. Or head tight karwany say phaly.. 50/60km drive karny per gari 70%taq heat guage lay gai thi. To 1 liter say thora sa kam pani dala tha.
Dekhen ismein kafi sari abnormalities hosakti hain.Agar visit karsaktay hain Islamabad g13.I can give it a thorough check that what's the root cause.Islamabad g13/4 ana parega following Dmotorsports location.
Main dor say ho.plz kuch idea. Dain
Foam ka aik possible reason air bubbles ho skte hain. Air bleed karain. Internet ya pakwheels forum pr check krein kafi asaan tariqa hai. Doosra reason thermostat nah hona bhi skta hai