Brother nakhray kuch ko hotay hen. I admit. But he doesnt have. But mein us market mei un ke beech me raha hn. Un logoun ke saath bohat haath huay hen. Maslan. Aik banda aaya us ne fridge walay ustaad ko kaha fridge kharaab hei bachay ko bhej do. Tu unhoun ne bhej diya jaga ka pata pooch liya keh kahan bhejna hei. Baad mei pata chala unhoun ne larkay ka samaan kheench liya agay ja kay.
Abid ke saath khud bhi esa ho chuka hei. Kahin se banday ayay aur kaha ghar ki wiring ya kisi cheez ka bahana bnaya keh kharaab hei. Saath chala gya. Wahan jkr pata chala woh banda kisi ke under kaam krta tha jo lainay aaya tha. Aur jo un ka bara tha us ne 2-3 aur banday bhi pakaray huay thay aur ghutnoun ke bal khara kiya hua tha. Aur un ko maar rhay thay. Yeh bari mushkil se jaan bacha kr aaya. Aur esay aik do waqiyay nhn huay. Tu ab jab tak reference na ho ya banday ka inko apnay tareeqay se pata na chalay they don't do their work no matter how much money they offer.
aksar nakhra technician mei kam aur customer
Mei zyada hota hei. Customer jo hua. Paisay diyay aur kaam krwayay. Yeh soch jo hui. Tu banday ko banda nhn samjhtay log.
One person through reference called Abid keh Apc ka ups hei 4 saal se use kr tha hn. Ab battery sahi charge nhn kr rha.
He immediately said keh apkay volts kam hen. Phone per hi bta diya. That perosn got angry. Keh bhai 4 saal se tu kam nhn huay ab q ho gyay. He said i am 100% sure volts kam hen. Us banday ne ghusay se phone band kr diya keh masla hei ni aur volts ka bta rha hei. After a week or two. When he got his volts checked. Abid was right about low voltage.
Matlab kisi ko maslay ka hal itna jaldi btao keh woh expect na krein tu woh bhi maslay bna deta hei customer. Depends on what kind of negative person is the customer as well.
I remember when i was in china and helped a PHD doing pakistani guy with his computer. He told me his problem and immediately within a second i got to know the problem and solved it. Us banday ke moun se meray liyay dua nikli keh itna jaldi masla hal kr diya is ne.
Technicians mei bhi nakhray hotay hen. I have seen many. Aur aksar un mei hotay hen jo honest kam hotay hen. Khair.
Hope your things work in good condition. In sha Allah. May Allah put barkat in your stuff and life.