Ye hai Peprasar ki surrounding area.
Ye jagah exact peprasar waterfall hai jo ke zameeni sateh se thora nechay hai jo k pictures mai bhi nazar araha hai, taqreeban 10 se 12 feet nechay utarna hota hai is jagah ke liye, Nechay ane k liye koi seedhi waghera nahi hai ap ko chattan k patharo ko pakar kar nechay ana hota hai.
Is pani ki gehrai kafi ziadah hai jab bhi yaha jaein life jacket zarur sath le kar jaein agr ap ko taeraqi per uboor nahi hai to. Ye ek khubsoorat jagah hai jaha phnchna kafi mehnat ka kaam hai aksar bikers yaha tak phnchte huye chote mote accident ka shikar ho jate hein aur wajah hai yaha ka rasta, Lakin sab he ke sath aisa nahi hota hum sab bakhariyat apne tai shuda waqt per apni manzil per phnchay thay aur phir yaha naha kar lutf andoz huye aur jald he yaha se rukhsat le li. Peprasar ka safar ek khubsoorat aur maze ka safar tha mai jald he dobara yaha jaun ga. Mere sath thay Ashad, Amjad ,Farhan, Zeeshan, Yousuf aur Coola.
Ye jate waqt ki tasveer hai road ki ek tarf se pani dusri tarf ja raha hota hai yaha, is makhsoos pani wale hisse per kafi phislan thi, Ashad aur amjad yaha phisal gaye thay aur in ki bike bhi lait gayi thi mai sb se agay tha mujhe nahi pata tha k ye sab kuch hua hai woh to farhan chilla chilla kar bata raha tha ye log phisal gaye aur khub hans raha tha woh.
Ye ghar ki tarf hot rahe thay to gaji shah k mazar k qareeb yaha ruk kar humne shukreya ada kia yaha bethe logo ka jinhone humein dupeher ki garmi mai aram karne ke liye jaga di aur pani pilaya tha humein.
Dil faraib manzar Peprasar ka jo k pehli nazar parte he kuch aisa dikhta hai, Isay uper se beth kar dekhne mai bhi ye bht acha lagta hai.
Apni manzil se kuch kilometers pehle ye jagah ati hai jaha hawa ka dabao kafi ziadah hota hai, kuch dair hum yaha ruke to dekha hamari khari hui bikes bhi gir rahi thi aur kuch makhsoos mor per hawa ka dabao kafi ziadah mil raha tha.
Ye bhi uper wali tasweer ki jagah ka he ek rukh hai.
.