bhai baat hai 2013 ki, aur ham teen dost they kumraat wadi main, wahan sey chaley gaey jandari,,,
aur jandari sey dor lagai to jahaz banda / katora lake ki traf...
raat guzari chamreen cottage main, aur raja taj mohammad ney bataya keh sir, yeh wala pahar cross karo to dosri traf kalam/ utror k qasbey main pohanch jao gay,,, laikin bohat mushkil hai aap log aisey nahi ja saktey, ham ney kaha, lo ji ham to haramosh bhi gaey, wahan bhi gaey yahan bhi gaey, is pahar ko to ham ney sakht barfun main abbor kiya to uss pahar main woh kar diya,,, sab sun kar raja taj mohammad ney zaad e rah k tour per aik dumba zibah kiya aur apna bhanja as guide sath kar diya,
uss waqt tak ham khud ko jawan samjhtey they aur porters etc lainey ka takaluf kam hi kartey they
so chal parey...
rasta seedhi charhai,,, kiyun keh rasta to tha nahi, bus yeh pahar charh kar dosri janib utar jana tha.... ham charhtey gaey, taj mohammad ka bhanja nawab hamarey sath chalta raha,
ahista ahista hamari chalney ki raftar kam hoti gai, kuch kamar per rucksacks ka wazan aur kuch charhai...
nawab, (bhanja of taj mohammad) sir, thora taiz chalien dekhien badal neechey aa raha, tofan aa gaya to phans jaien gay
me, bhai ji, iss sey taiz nahi ,,, aur itna bol kar sans thikaney lagane k liey phir sastana shuru,
nawab mujh sey hat kar keh yeh budha to reh hi gaya 2nd member k pass.. mudassir k pass
sir, .. lambi khamoshi
hampta kampta mudasir bola, kiya hua, bolo kiya baat hai,, aur phir woh bhi sastaney lehza bhar k liey ruk gaya
.... nawab,, kuch nahi sir, aap bus ruko nahi chaltey raho ,,
hasrat sey hamarey tesrey sathi (@onlyhassan ) ko dekhey jo sir jhukaey muskalun sey pahar charhta ja raha tha,, nawab uski traf barha to main ney isharey sey rok diya,,
nawab kiyun uski speed mazeed kam kartey ho...
woh bechara kabhi asman ko dekhey kabhi hamari raftar ko aur bus chalta jaey,,, khuda khuda kar k ham top per pohachey,, taiz hawa jiss main braf k zarrey bhi they hamien tang karti thi, wahan per shukar kiya keh aab utrai hogi, aur ham issi khushi main chal parey, laikin, agey thi pathar ki duniya (bouldering) rahey sahey muscles bouldering ney tabah kar diey. wahan sey agey steep utrai ussi trah ki jaisi charh kar aaey they.. muscles bhi pull, 10 hours ho chukey they cont. rucksacks utha kar trek kartey huey... so, mazeed kaam kharab tha,
nawab ki bardasht aab khatam ho chuki thi, kehney laga, sir aap sey charhai charhi nahi jati , utrai bhi utri nahi jati, aap to boltey they pata nahi kon kon sey pahar sir kar liey aur pata nahi kiya kuch kar liya,
main ney pholtey sans aur tangun k khichey muscles k sath jawab diya: yaar iss baat ka jawab kal dun ga
magar woh bar bar gussey main boli jaey, khair sey agey dariya bhi aa gaya, aab ham jotey utarney k haq main na they, bari bari teeno ko usney kamar per utha kar dariya paar karwaya, means main uski kamar per aur meri kamar per ruksack... nawab mazeed gussey main,,
subah 6 bajey k chaley huey sham ko 730 per kalam banda pohanchey with no lunch break,, and truely nothing to eat in between but a tukra of sokhi roti (beech main do baar rasta bhi bhatak kar khowah mokhwah chaltey rhaey, nawab sey kaha tum to kehtey they k tumhien rasta pata hai to kehta tha, main yahan kabhi nahi aya, mera dada (grand father) aya tha, uss ney mujhey aisa hi bataya tha... (banda kiya kahen,,, aap jan saktey hian keh hamari dushmani ki ibtada wahan sey hi hui hogi))
cutting short, next day we were sure that one day's trek will bring us to utroor, and tab nawab ko bulaya, usko kaha, yaar tum poochtey they na keh ham ney kesey barey barey treks kiey aur pahar sir kiey, though keh oper ham sey nahi charha jata, neechey ham sey nahi utra jata,
kehta, han ji batao kesey kiey?
mera jawab.. aisey hi jaisey ham ney yeh kar liya.. it was named as Dirr gali pass. to bhai jiss trah ham ney yeh dir gali cross kar li, jis k mutaliq tum aur raja taj mohammad shakood ka shikar they, ussi toor ham ney baqi sab bhi kiya hua hai...
uska jawab classic tha,,, yani rotey rotey...
this brought a huge laughter amongst all of us......
so this was the kahani of ... oper charh nahi saktey, neechey utar nahi saktey,, paharun main kiya karney aaey ho 
you can find dirr gali trek or kumrat region in my list of threads,, keywords bhol raha keh kiss naam sey thread tha, however, pics were uploaded there at that time.
the detailed travelogue of this incident can be found in https://www.pakwheels.com/forums/t/destiny-2013-dirr-gali-trek-jandri-dir-to-utror-kalam/210104?u=conflicted