[highlight]Yoon Maatmi Say Libaas Mein Koi Aah-o-Fagaan Hai Aaj Bhi
Jaisey Chashm-e-Tar Mein Khwab Koi Pareshaan Hai Aaj Bhi
Main Zindagi Ki Raah-Guzar Pay Dar-ba-Dar HooN Iss Liye
Ke Muhabbaton Ke Shehar Mein Dil Be-makaan Hai Aaj Bhi
Teri Aarzoo Hai Bohat Magar Mairi Pohanch Nahin Hai Iss Qadar
Mairi Khwaahishon Ke Waastey Tu Aasmaan Hai Aaj Bhi
Main Toheed Ke Har Hisaab Say Waisey To Musalmaan Hoon
Par Tujhey Poojney Ki Baat Hai, To Dil Be-imaan Hai Aaj Bhi
Teri Anjuman Tera Har Karam, Teri Chahatein To Chin Gayin
Magar Dard Jo Maira Naseeb Bana Woh Meharbaan Hai Aaj Bhi
Teri Aziyaton Ka Sawaal Hai To Mujhey Kal Bhi Zabt Pay Naaz Tha
Tujhey Kosney Ki Baat Hai To Dil Be-zabaan Hai Aaj Bhi
Kabi Dard Had Say Barrha Bhi To Main Teri Had Say Barrha Nahin
Mairi To Saans Ki Tasbiyon Mein Ikk Tu Hi Rawaan Hai Aaj Bhi
So Baadlon Ke Silsiley Mairi Chatt Pay Baras Kar Chaley Gaye
Par Jala Jala Dhuwaan Dhuwaan Maira Aashyaan Hai Aaj Bhi
Mujhey Kal Miley Thay Kuch Gulaab Jo Terey Liye Ye Keh Gaye
Ke Terey Intezaar Mein Sogwaar Gulshan Ka Samaan Hai Aaj Bhi …[/highlight]