Jo khyal they na qayas they, wohi loog mujh say bichar gaye,
Jo mohabatoon ki ehsas they, wohi loog mujh say bichar gaye.
Jinhay manta hi nahi hai dil, wohi loog hain mere hum safar,
Mujhay har tarha say jo raas they, wohi loog mujh say bichar gaye.
Mujhe lamha bhar ki rafaqatoon k sarab aur satain ge,
Meri umar bhar ki jo piyas they, wohi loog mujh say bichar gaye.
Ye khayal sare hain aarzi, ye gulab sare hain kagazi,
Gul-e-aarzo ki jo baas they, wohi loog mujh say bichar gaye.
Jinhay kar saka na qabool main, woh shareek-e-raah- e-safar huwe,
Jo maire talab meri aas they, wohi loog mujh say bichar gaye.
Maire dharkoon say kareeb they, meri chah they, mere khawab they,
Woh jo roz-o-shab mere pass they wohi loog mujh say bichar gaye.