@c123pk
@Seema Khala, woh kon hai, Logas to nahi ?
Ali bhai you naughty boy, shaitan ki dum
LMAO
========================================
Hum jo jeetay thay to jangon ki museebat k liye
Aur martay thay teray naam ki azmat k liye
Thee na kuch tegh zani apni hakumat k liye
Sar bakaf phirtay thay kia dhar main daulat k liye?
Qaum apni jo zaro-maal-i jahan par marti
Bot (idols) faroshi k aiwaz bot shikani kyun karti?
Mahfil-i kaun-o Makan main sahar-o sham phiray
Mae-e tauheed ko le kar sifat-e jam phiray
Koh main dasht main le kar tera paigham phiray
Aur maaloom hay tujh ko kabhi nakaam phiray
Dasht to dasht hain darya bhi na chorey humne
Bahr-e zulmaat main daura diye ghorey humne
Safah-i dhar se batil ko mitaya humne
Nau-i insan ko ghulami se churaya humne
Tere kaabay ko jabeenon sey bassaya humne
Terey Qur’an ko seeno sey lagaya humne
Phir Bhi humse ye gila hai ke wafadar nahin
Hum wafadar nahin Tu bhi to dildar nahin
Ummaten aur bhi hain un main gunahgaar bhi hain
Ijz waley bhi hain mast-i mae o pindar bhi hain
Inmain kahil bhi hain ghafil bhi hain hushyar bhi hain
Sainkron hain k tere naam se bezaar bhi hain
Rehmatain hain teri aghyar ke kashanon par
Barq girti hai to bechare musalmanon par
Bot sanam khanon main kehtay hain musalmaan gae
Hay khushi unko k Kaabey k nigehbaan gae
Manzil-i dhar se unton ke hudi khuwan gae
Apni baghlon main dabba-e huey Quran gae
Khanda-zan kufr hay ehsaas tujhe hay k nahin
Apni Tauhid ka kuch paas tujhe hay k nahin
Bani aghyar ki ab chahne wali dunya
Reh gai apne liye ek khayali dunya
Hum to rukhsat hue auron ney sanbhali dunya
Phir na kehna hui Tauheed se khali dunya
Hum to jeetey hain k dunya main tera naam rahe
Kaheen mumkin hai k saaqi na rahey jaam rahe?
Ye shikayat nahin hay unke khazane maamoor
Nahin mehfil main jinhain baat bhi karne ka shaoor
Qahr to ye hay k kafir ko milain hoor-o qasoor
Aur becharey musalman ko faqat wada-i hoor
Ab wo altaaf nahin hum pe inaayaat nahin
Baat ye kiya hay k pheli si madaraat nahin
to be continued....