Yeh jo zindgi ki kitab hai,
yeh kitab bhe kia kitab hai,
kahin aik haseen sa khwab hai,
kahin jan-leva azab hai,
Kabhi kho liya kabhi paa liya,
kabhi ro liya kabhi gaa liya,
kahin rehmton ki hain barshen,
kahin tishnagi be-hisab hai,
kahin chhaon hai, kahin dhoop hai,
kahin aur hi koi roop hai,
Kahin cheen leti hai hr khushi,
Kahin meharban be-hisab hai,
Yeh jo zindgi ki kitab hai,
Yeh kitab bhe kia kitab hai.