{PIYA}
Ek khwab ajab sa daikha tha,
Hum us Din se baizaar Piya,
Ab nend bhi Hum se roth gai,
Phr kaise ho Didar Piya,
Ab keh dalo to behtar hai,
Jo krna hai Iqrar Piya,
Dil Ghum se hi phat jaye ga,
Kr daina na Inkar Piya,
Un ashkoun ko un Ankhoun ki,
Na rok sake Diwar Piya,
Agar raste sidhe sadhe hein,
Tu chalna kiun Dushwar Piya,
Haan jissm to apna lout aaya,
Par bhatke Rooh us paar Piya..?