[highlight]
"Chand Batein Meri Apney Ansoo Sai"
Aik roz najaney kahan sai ek ansoo ka qatra merey rukhsaroo sai behta hua zameen ki janib barhney laga....
is sai qabal k woh zameen k wajood main jazb hojata main nai usey apney hatoo pai tham lia,,,,,
us qatrey nai dheemey sai ankhain khol k mujh sai kaha aye merey dost tum nai mujhe girney q na dia .....
main nai us sai kaha tum kisi asey insaan ki yaad main meri ankhoo sai bahey jis ka koi sani nahi is jahan main.....
us ansoo nai mujh sai kaha tum usey bhool q nahi jatey main nai kaha kia tum meri ankhoo k beghair g pao gey nahi na tu phir batao mein apni ankhoo k bina kia dekh paonga is dunia k bikhrey rangoo ko ....
Merey ansoo nai mujh sai kaha aye merey dost agey barhoo tum sab bhool kyun nahi jatey agey barhoo main nai hanstey huey jawab dia mera mazi itna haseen hai k agey ja k kuch paney ki khuwahish hi nahi.....
Baat tu jab thi k main nai us main koi kami payi hoti main janta hoo ek din tum bhi meri ankhoo sai us haseena ki tarah gum hojao gey bus phir main honga aur yaadein.....
Un yadoo main kho k geena mujhe itna haseen lagta hai k utna is dunia ko ankhain khol k dekhna bhi utna maza nahi deta itna suna tha k mera ansoo bhi ek pal main gum hogaya....
Regards
An33l
[/highlight]