Assalam o Alaikum
On August 14th 2017 I traveled towards Thano Bulla Khan and Darawat Dam which are situated between the mountains of Kir Thar Range, It was decided with friends on August 10th that we will ride on 14th August morning towards this side few friends confirmed me but at the end all were excused and I hit the road solo...!
Total Distance covered 300KMRide GS 150
Darawat Dam
Weather was good in the start of tripAt old toll side karachi
Salam, Saw pictures on Instagram. Larkay kamal he kardiya hai tum nai. Milo kisi din bht arsa hoa tumhari shakal daikhay hoay
boht khobsurt dost. or tasvir lgao. bda safr kia tum nay hero
Uploading...
Hahaha Yar sab se pehly to mujhy ye bataen k ap hamary walay tamour bhai hain ya koi or or ye kamal is waja se ho gaya k mera dimagh ghoom gaya tha topiyon ki waja se koi sharam hoti hy koi haya hoti hy but hamary doston main dono he nahi hain Milna ka jab ap hukum karen mil lete hain koi masla he nahi
Hahahaha yar safar to chota sa he tha bus intensity ziada thi keun k akele interior sindh main travel karna her aik k bas ki bat nahi Or pitures hazir e khidmat hain
Near Old Toll Plaza Super Highway Karachi
Selfie on M9
More selfies
Jab main apni selfies le raha tha to is truck waly ny chalty chalty picture ki request ki Picture to leli but driver capture na ho saka keun k jab tak front camera se back camera per shift hota truck agay nikal chuka tha
Reached Nooriabad Till 10: 15 am approxYahan tak pohochty pohochty achi khasi garmi start ho chuki thi jiski waja se sar main dar hony laga tha to socha aik cup tea hojae Jab main bike rok ker yahan utra to log ghor ghor ker dekh rahy thy k ye kon namona hy akela nikla hua hy Aik couple karachi se mirpur khas ja raha tha on 70cc china motorcycle wo mujhse kafi inspired thy pehly mujhy coldrink offer ki then pocha kahan ja rahy ho kahan se a rahy ho etc Approx 20 mink stay k bad main Nooriabad se nikal gaya keun k garmi wahan bethny nahi de rahi thi
Reached Thano Bulla Khan Exit It was about 10 KM ahead Nooriabad Approx 10: 40 am
Selfie zarori hy keun k picture khechny wala to koi hy nahi
Thano bulla khan k mor se le ker view point tak approx 10KM ka rasta hy then agay Thano Bulla Khan ka chota sa sheher ajata hy phir us se agay Thano ahmed khan hy or phir karchat ye pora silsila Kir thar mountains range main ata hy