Wapsi ka safar TBK se
Like kia hoga unhon ny mere page ko personally main unko nahi janta
Jazak Allah
Towards Thano Bulla Khan
August 14th 2017 Nooriabad to Thano Bulla KhanPosted by Memories By Sheikh Al Ahmed on Sunday, August 20, 2017
August 14th 2017 Nooriabad to Thano Bulla Khan
Bhai g yah wala pose boht zbrdst hay. Agla tire jic angle say kafee bda lagta hay. Neechay say tasvir opr ke trf
Here is another story behind this Darawat DamMain Thano bulla khan se wapas ho ker Darawat Dam ki taraf barha to sab se pehly to highway per khara ho ker ye sochny laga k is side jaon k na jaon keun k Thano bulla to main ny pehly bhi dekha hua tha or Ye Dam mere liye bilkul naya tha beher haal thora sochny k bad ye faisla kia k Allah ka naam le ker jana chahiyeDhoop kafi tez ho chuki thi or Rasta bhi na maloom tha highway per pump k sath tuc shop waly se rasta confirm kia or chal para Abhi thora he agay gaya tha k rasta block nazar aya road ko baqaida khood ker or pathar laga ker block kia hua tha is he doran kuch locals bhi us taraf nikal aae jin ki madad se main is dam tak pohochny main kamiyab hua
M9 to Darawat Dam Ride
Solo Ride To Darawat Dam On 14th August 2017 This dam is situated in the mountains of Kir Thar Near Nooriabad or Thano bulla khanPosted by Memories By Sheikh Al Ahmed on Thursday, August 17, 2017
Solo Ride To Darawat Dam On 14th August 2017 This dam is situated in the mountains of Kir Thar Near Nooriabad or Thano bulla khan
Darawat Dam Tak pohochty pohochty takreban adha ghanta laga kuch kacha or kuch pakka rasta tha but tha khoobsurat sirf dhoop k tez hony ki waja se ziada enjoy na kar saka or akela bhi thaDam per wahan ki security ne khary nahi hony dia is liye aik do pics le ker he wapas hona para
Spill way of Darawat Dam
Selfiee with locals They are caring and loving
Group Picture with Locals
Last picture of the tripIs picture k bad hum wapas highway per aae or sab ny sath mil ker tea pe or apni fb ids aik dosry se share ki or phir ye log apni rah lagy or main wapas karachi ki taraf nikal gaya Takreeban 3: 30 bajy main wapas ghar pohncha ye meri life ka 1st solo experience tha jis main mayne kafi kuch sekha hope you all like this tread The End
AssalamoAlaikum, is it safe to go with family?
Not sure sun saan area hy kuch bhi ho sakta hy