Main 2006 model Suzuki Cultus ka first owner hoon. Gari mechanically bilkul theek hai aur hamesha achi condition mein rakhi gayi hai. Lekin kuch arsay se gari ke andar se ek tak tak ki awaaz aa rahi hai jo idle state mein clear hoti hai. Jaise hi main ek ya dedh RPM se upar jata hoon, awaaz band ho jati hai.
Main ne gari ka engine, bonnet aur doosray parts khol ke check karwaya hai, aur engine ke andar kisi qism ka masla nahi ha. Aesa lagta hai ke ye awaaz shayad paaon ke neeche ya gari ke kisi andarooni hisay se aa rahi hai.
Main ne mukhtalif mechanics se mashwara liya hai, jinhn ne following reasons batayi:
Pins ka masla
Bonnet lock k masla
Silencer ki dholki
main ne ye tamam maslay hal karwaye hain, lekin badqismati se awaaz khatam nahi hui.
Kya koi is maslay ka sahi solution bata sakta hai?