Last trip darawat dam ka bike per karny k baad sy bike ghar main khari bechen ho rahi thi or Ramzan sharif ki amad bhi qareeb hoti ja rahi thi to socha keun na aik chota safar Ramzan se pehly pehly ker lia jae is he khuwahish ko kuch doston per zahir kia jis main se akser ny is ki taeed ki or yun May 5 or 6 ko ye safar tay pa gaya....!
The Great Wall of Sindh - Ranikot Fort
Ranikot ka Qila Sindh k elaqy Sann k nazdeeq district Jamshoro main mojod hy jiska distance Karachi se approx 250KM hy ye Qila tareekhi ehmiyat ka hamil hy kaha jata hy k iski tameer Qabl e Maseeh ki hy, Ye qila raqbay k lehaz hy 26KM taweel hy or iski deewar jo k deewar e cheen se mushabah hy kisi ajooby se kam nahi is k elawa is qily k pas aik or bohot khoobsurat jaga mojod hy jisay Pariyon Jo Tar Kaha jata hy ye aik Naddi hy jo khoobsurat andaz main Ranikot ki paharon k beech behti hy or kae jaga Abshar ki sorat ikhteyar ker leti hy...!
May 5, 2018
Garmi ki shiddat ko madd e nazar rakhty hue humne apny safar ka aghaz shaam 5 bajy kia or Raat taqreeban 11 bajy hum qilay tak pohonch gae...!
Hamary sath 6 bikes thi or 2 gariyan
Raat qilay main khulay asman taly guzari or Aglay din suba pariyon jo tar ki taraf nikal gae do se teen ghanty khoob naha dho ker wapsi ka irada kia...
May 6, 2018
Suba 10 bajy hum Qilay se bahar nikly or shadeed garmi main safar karty hue wapas karachi looty sann se lekar jamshoro tak yun mehsoos hota tha jese hum aag ki bhatti se guzar rahy hon darja hararat taqreeban 45 se 50C k qareeb tha....
Ranikot Fort ki sabse khas bat ye hy k wahan ka mosam bilkul karachi jesa hota hy yani na garam na thanda magar jese he qilay se nikal ker ap main road per atay hain jiska distance 30KM hy wahan shadeed garmi shuru ho jati hy....
Raat ka khana or Dopeher ka khana hum ne Sann per he khaya jo k munasib tha...!
Kuch mobile pics or Videos pesh e khidmat hain