Well meray pass simple GS ha aur abhi tak rear brake aur handle bar bar loose honay k issue aur poor headlight focus(jo k 7inch ki 100/130 watt ki sealed beam lagany k baad theek ha)inn k ilawa personally koi issue nahi aya mujhay.
Bike 6000+ kms chal chuki ha aur abhi tak engine se related har aik cheez factory stock setting pe ha.
Baki bike me kuch chotay problems hain jo agar aik hi dafa solve krr liye jaien to bike trouble free aur solid ha.
YBZ to nahi chalaya lekin YBR ESD chalaya ha cousin ka uss se agar power ko consider kia jay to YBR underpowered tha pick ya top speed me zyada nahi lekin slopes pe kafi zyada(in stock condition).
Fuel average mujhay to 45-46 kmpl mill rahi ha city riding me aur long route pe 80 ki speed pe cruise kartay huay 48+ kmpl ki average de rahi ha bike abhi tak with a 2.15x18 rim and 100/90x18 tyre at rear.
Meray cousin k YBR ESD ki bhi average city riding me 44-45 kmpl ha aur long pe same 80 ki speed pe 48+ ki average hi milti ha. Driving style aur driving conditions same hi hain hamari.
Lekin at the end YBR/YBZ company se hi aik complete package ki tarha milti ha aur GS me kuch changes karni parti hain apnay taste k according bike ko set karnay k liye.